an-ginat shadab jismon ki jawani pi gaya wo samundar kitne dariyaon ka pani pi gaya narm subhen pi gaya shamen suhani pi gaya hijr ka mausam dilon ki shadmani pi gaya mere armanon ki faslen is liye pyasi rahin ek zalim tha jo kul basti ka pani pi gaya le gae tum chhin kar alfaz ka amrit-kalas main wo shiwshankar tha jo zahr-e-maani pi gaya ek tawajjoh ki nazar shikwe gile sab kha gai ek tabassum umr bhar ki bad-gumani pi gaya agle waqton ki murawwat rah gai ban kar sarab waqt ka sahra sabhi qadren purani pi gaya zahr dala tha ki amrit tu ne mere jam mein kuchh bhi ho main ne teri talqin-e-mani pi gaya ja ke wo barsa na-jaane kis samundar par 'shabab' aah jo baadal meri jhilon ka pani pi gaya