aarzu hai wafa kare koi ji na chahe to kya kare koi gar maraz ho dawa kare koi marne wale ka kya kare koi koste hain jale hue kya kya apne haq mein dua kare koi un se sab apni apni kahte hain mera matlab ada kare koi chah se aap ko to nafrat hai mujh ko chahe khuda kare koi us gile ko gila nahin kahte gar maze ka gila kare koi ye mili dad ranj-e-furqat ki aur dil ka kaha kare koi tum sarapa ho surat-e-taswir tum se phir baat kya kare koi kahte hain hum nahin khuda-e-karim kyun hamari khata kare koi jis mein lakhon baras ki huren hon aisi jannat ko kya kare koi is jafa par tumhein tamanna hai ki meri iltija kare koi munh lagate hi 'dagh' itraya lutf hai phir jafa kare koi