ab wo ye kah rahe hain meri man jaiye allah teri shan ke qurban jaiye bigde hue mizaj ko pahchan jaiye sidhi tarah na maniyega man jaiye kis ka hai khauf rokne wala hi kaun hai har roz kyun na jaiye mehman jaiye mahfil mein kis ne aap ko dil mein chhupa liya itnon mein kaun chor hai pahchan jaiye hain tewri mein bal to nigahen phiri hui jate hain aise aane se ausan jaiye do mushkilen hain ek jatane mein shauq ke pahle to jaan jaiye phir man jaiye insan ko hai khana-e-hasti mein lutf kya mehman aaiye to pasheman jaiye go wada-e-visal ho jhuta maza to hai kyun kar na aise jhut ke qurban jaiye rah jae baad-e-wasl bhi chetak lagi hui kuchh rakhiye kuchh nikal ke arman jaiye achchhi kahi ki ghair ke ghar tak zara chalo main aap ka nahin hun nigahban jaiye aae hain aap ghair ke ghar se khade khade ye aur ko jataiye ehsan, jaiye donon se imtihan-e-wafa par ye kah diya manwaiye raqib ko ya man jaiye kya bad-gumaniyan hain unhen mujh ko hukm hai ghar mein khuda ke bhi to na mehman jaiye kya farz hai ki sab meri baaten qubul hain sun sun ke kuchh na maniye kuchh man jaiye saudaiyan-e-zulf mein kuchh to latak bhi ho jannat mein jaiye to pareshan jaiye dil ko jo dekh lo to yahi pyar se kaho qurban jaiye tere qurban jaiye dil ko jo dekh lo to yahi pyar se kaho qurban jaiye tere qurban jaiye jaane na dunga aap ko be-faisla hue dil ke muqaddame ko abhi chhan jaiye ye to baja ki aap ko duniya se kya gharaz jati hai jis ki jaan use jaan jaiye ghusse mein hath se ye nishani na gir pade daman mein le ke mera gareban jaiye ye mukhtasar jawab mila arz-e-wasl par dil manta nahin ki teri man jaiye wo aazmuda-kar to hai gar wali nahin jo kuchh batae 'dagh' use man jaiye