ab apne dida-o-dil ka bhi e'tibar nahin usi ko pyar kiya jis ke dil mein pyar nahin nahin ki mujh ko tabiat pe ikhtiyar nahin har ek jam se pi lun wo baada-khwar nahin har ek gam pe kanton ki hain kamin-gahen shabab aah shagufon ki rahguzar nahin bhari hui hai wo kaam-o-dahan mein talkhi-e-zist ki lab pe jam-e-mohabbat bhi khush-gawar nahin na mere ashkon se daman pe tere aaegi aanch ye shoala-ru hain magar fitrat-e-sharar nahin kahin chhupae se chhupti bhi hai haqiqat-e-gham wo gham hi kya jo masarrat se aashkar nahin main teri yaad se bahka chuka hun yun dil ko ki ab mujhe teri furqat bhi nagawar nahin mere sukun ke liye kyun ye koshish-e-paiham qarar chhinne wale tujhe qarar nahin jahan-e-aql ke nafrat-kadon mein bat jata hazar shukr mohabbat pe ikhtiyar nahin kisi ki lut ke rahat khushi nahin milti khizan ke hath mein sarmaya-e-bahaar nahin nigah-e-dost ko is ki bhi hai khabar lekin wo raaz jis ka abhi dil bhi raazdar nahin tawajja-e-nigah-e-yar ka sabab malum dil-e-girafta-e-'mulla' abhi shikar nahin