basar ho yun ki har ek dard hadisa na lage guzar bhi jae koi gham to waqia na lage kabhi na phul se chehre pe gard-e-yas jame khuda kare ki use ishq ki hawa na lage nazar na aae mujhe husn ke siwa kuchh bhi wo bewafa bhi agar hai to bewafa na lage yahi dua hai wo jab ho jamal se aagah libas-e-naz bhi pahne to dusra na lage wo mehrban sa lage us ki kuchh karo tadbir khafa bhi ho to meri aankh ko khafa na lage mile jo nur-talab dil bhi yun munawwar ho mera harif bhi sham-o-sahar bura na lage kahan se laun 'hasan' guftugu mein wo andaz mera kalam kisi ko bhi be-maza na lage