aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak rote rote bujh gai hain sari shamen subh tak shab ki mutthi mein parindon ki tarah wo so gain ho gain zinda hatheli par lakiren subh tak waqt ki guzri ibarat ki tilawat ke liye raat ki tanhaiyon mein aao ghumen subh tak din ka suraj un pe likkhega anokhe tabsire hum ne jo talif kin dil par kitaben subh tak zindagi ke raston mein jo kahin gum ho gae dhundti ab un ko hain khwabon mein aankhen subh tak aashiyanon mein na jab laute parinde to 'sadid' dur tak takti rahin shakhon mein aankhen subh tak