in aql ke bandon mein aashufta-sari kyun hai ye tang-dili kyun hai ye kam-nazari kyun hai asrar agar samjhe duniya ki har ek shai ke khud apni haqiqat se ye be-khabari kyun hai sau jalwe hain nazron se manind-e-nazar pinhan dawa-e-jahan-bini ai dida-wari kyun hai hal jin ka amal se hai paikar-o-jadal se hai in zinda masail par bahs-e-nazari kyun hai to dekh tere dil mein hai soz-e-talab kitna mat puchh duaon mein ye be-asari kyun hai ai gul jo bahaar aai hai waqt-e-khud-arai ye rang-e-junun kaisa ye jama-dari kyun hai waiz ko jo aadat hai pechida-bayani ki hairan hai ki rindon ki har baat khari kyun hai milta hai use pani ashkon ki rawani hai malum hua kheti zakhmon ki hari kyun hai ulfat ko 'asad' kitna aasan samajhta tha ab nala-e-shab kyun hai aah-e-sahari kyun hai