hum se diwanon ko asri aagahi dasti rahi khokhli tahzib ki farzangi dasti rahi shoala-e-nafrat to bhadka ek lamhe ke liye muddaton phir shahr ko ek tirgi dasti rahi maut ki nagin se ab hargiz wo dar sakta nahin jis ko sari umr khud ye zindagi dasti rahi main na jaane kitne janmon ka hun pyasa dosto rah ke dariya mein bhi mujh ko tishnagi dasti rahi aap ke honton pe jo muddat se hai chhai hui dard mein dubi hui wo khamushi dasti rahi ek tum ho dushmani bhi ras aai hai jise aur ek main hun ki jis ko dosti dasti rahi har ghadi chehre pe jo chehre lagata hi raha umr bhar us ko 'asad' be-chehragi dasti rahi