aarzu tujh se tera bosa bhi kab mange hai harf-e-iqrar bas ek jumbish-e-lab mange hai us ki chahat mein ajab dil ki talab ka aalam dard jitna bhi zamane mein hai sab mange hai ho saliqa jo zara sari tamanna bar aae husn phir husn hai aur husn-e-talab mange hai be-talab jaan talak saunp di jis ko wo ab khud se chahat ka meri kya hai sabab mange hai kab talak khun rulate hue manzar dekhe nind ko aankh zara der ko ab mange hai harf-e-izhaar tadapta hai tadapne dije ye mohabbat hai miyan pas-e-adab mange hai to meri jaan hai na rah dur ki ab zehn mera kyun hai zinda ye badan mujh se sabab mange hai