main sozish-e-gham-e-dauran se yun jala khamosh ki jaise bazm mein jalta ho ek diya khamosh ye aur baat ki honton pe lafz bikhre the magar tha bolne walon ka muddaa khamosh abhi na chhediye khwabida mausamon ka mizaj abhi hai raat ke aanchal mein har faza khamosh meri sarisht mein khamoshiyon ka zahar na ghol na rah sakega mera zauq-e-haq-nawa khamosh badan ki qaid mein chikhen na ghut ke mar jaen sisakte karb ko kyun tum ne kar diya khamosh lahakti aankh dhadakte dilon ke pas na la guzar na jae kahin koi hadisa khamosh har ek samt hai bikhra hua sukut 'azar' idhar hain dewta patthar udhar khuda khamosh