kuchh to batate jao masum zindagi hai

kuchh to batate jao masum zindagi hai
tarikiyan kahan hain kis ja pe raushni hai

be-chehragi ke qisse is mein bhare pade hain
apni sadi bhi kitni be-rang si sadi hai

ek rukh jahan ki khatir ek rukh hai mera apna
bahar hansi hai lab par andar se dil dukhi hai

hum kya bataen tum ko kya rah gaya hai kahna
ye zindagi hamari hijrat mein kat gai hai

lagta hai is zamin ke din aa gae hain nazdik
baaligh-nazar meri ye mahsus kar rahi hai

tere sitam se us ne mera suragh paya
bijli jo aasman se sar par mere giri hai

mere qarib aa kar sathi wo mera ban kar
mere khilaf sazish us ne 'nazar' rachi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close