aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu kya ajab qurbat thi wo bhi main na tu main aur tu jhutputa khuni ufuq ki wusaten khamoshiyan fasle do ped tanha hu-ba-hu main aur tu khushk aankhon ke jaziron mein bagulon ka ghubar dhadkanon ka shor surma-dar-gulu main aur tu barish-e-sang-e-malamat aur khilqat shahr ki pyar ke masum jazbon ka lahu main aur tu ajnabi nazron ke shole har taraf phaile hue dushman-e-jaan rah o manzil kakh-o-ku main aur tu nafraton ki gard rasta katti har mod par ishq ki khushbu mein udte ku-ba-ku main aur tu ehtiram-e-admi ehsas-e-gham marg-e-ana aaj kis kis zakhm ko karte rafu main aur tu