kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai aadmi jazbaat-o-ehsasat ka tufan hai ishtirakiyyat mera din aur mera iman hai kash motor le sakun main ye mera arman hai aah is danish-kade mein kis qadar hai qaht-e-husn jab se aaya hun yahan bazm-e-nazar viran hai ye kitaben har taraf hon ya butan-e-muntakhab barguzida hastiyon ka ek hi arman hai fikr ki duniya mein columbus bana phirta hun main ilm ki pahnai ka kitna bada faizan hai aaj america mein kal london mein parson rus mein aadmi ki sar-bulandi ki yahi pahchan hai is qadar khae hain yaron ke bichhad jaane ke dagh dil nahin ab ek khakistar-shuda shamshan hai jaise jaise badh raha hai mera ohda doston waise waise ruh meri aur bhi viran hai ladkhadata thokaren khata kidhar jata hun main hai andhera ghup faza aur dil-e-sunsan hai