aarzuon ki ruten badle zamane ho gae zindagi ke sath sab rishte purane ho gae aabla-pai ne aisi shokhiyan kin ret se waqt ke tapte hue sahra suhane ho gae chand lamhe ko tu khwabon mein bhi aa kar jhank le zindagi tujh se mile kitne zamane ho gae raat darwaze pe baithi thi so baithi hi rahi ghar hamare raushni ke kar-khane ho gae shokhiyan 'danish' matanat ki taraf hain gamzan aisa lagta hai ki ab hum bhi purane ho gae