gham-e-hayat ki pahnaiyon se khauf-zada main umr bhar raha nakaamiyon se khauf-zada jahan bhi dekho tassub ki chal rahi hai hawa hamara shahr hai balwaion se khauf-zada kabhi kisi ka bura hi nahin kiya phir bhi zamana hai meri khush-haaliyon se khauf-zada karam tumhaara koi be-gharaz nahin hota hai dil tumhaari mehrbaniyon se khauf-zada ilahi tujh ko khabar hai ki ye tera 'sahir' hai kitna apni pareshaniyon se khauf-zada