har tamanna dil se rukhsat ho gai lijiye fursat hi fursat ho gai kaun samjhae dar-o-diwar ko jin ko tere did ki lat ho gai hum nahin ab barishon ke muntazir ab hamein sahra ki aadat ho gai sarhadon ki bastiyon sa dil hua wahshaton ki jin ko aadat ho gai sahilon par kya gharondon ka wajud tutna hi in ki qismat ho gai rahaton ki bhi talab baqi nahin dard se aise mohabbat ho gai