aarzuon ko ana-gir nahin kar sakte khwab ko paon ki zanjir nahin kar sakte kya sitam hai ki muqaddar mein likha hai sab kuchh phir bhi hum shikwa-e-taqdir nahin kar sakte jab bulaegi hamein maut chale jaenge hukm aisa hai ki takhir nahin kar sakte ye safar wo hai ki jo chhut gaya chhut gaya phir use pane ki tadbir nahin kar sakte jang mein kaise tikenge wo bhala hasti ki jo kisi shakh ko shamshir nahin kar sakte aap to khair bade aadmi kahlate hain hum to chhoton ki bhi tahqir nahin kar sakte sab pe pabandi usulon ki 'siya' lazim hai sukhan-o-sher ko jagir nahin kar sakte