ishq mein koi zaman aur na makan hota hai wo do-alam se alag ek jahan hota hai kis qadar un ki tabiat pe garan hota hai jis fasane mein wafaon ka bayan hota hai shiddat-e-shauq ka allah re fusun uf re fareb un ki nafrat pe mohabbat ka guman hota hai sirf ek dil hi wo mabad hai wo ek mabad-e-ishq jis mein naqus ham-awaz-e-azan hota hai un se is tarah juda ho ke hum aae hain ki hae aankh se jaise koi ashk rawan hota hai husn ke haq se koi ohda-bar-a kya hoga ishq ka haq bhi ada hum se kahan hota hai apni sozish mein bhi hota hai jahannum mahsus ghair ki aag ka shoala bhi dhuan hota hai sunne wale hi pe hai munhasir andaza-e-gham warna jo haal hai wo kis se bayan hota hai ghair ki aag mein jalne ka maza hai kuchh aur warna parwana bhi khud shoala-ba-jaan hota hai hae is ishq mein insan ka jawan mar jaana jaise kambakht isi din ko jawan hota hai sath har sans ke aata hai zaban par tera nam dil mein jo kuchh ho wahi wird-e-zaban hota hai jis janaze pe barasti hui hasrat dekhun us janaze pe mujhe apna guman hota hai ishq mein hae tabiat ka wo aalam 'bismil' aalam-e-ishq bhi jab dil pe garan hota hai