aas hi se dil mein paida zindagi hone lagi shama jalne bhi na pai raushni hone lagi intiha-e-ishq hai kaisi jafa kaisa gila ab to un ki har khushi apni khushi hone lagi rok apna hath rok ab ai junun-e-jama-dar husn-e-parda-dar ki parda-dari hone lagi uljhi uljhi sans ghabrai nazar bahke qadam ai nigar-e-mast duniya dusri hone lagi chand mera kahkashan meri gul-o-ghuncha mere tum mere hone lage duniya meri hone lagi dube tare jhilmilai shama shabnam ro padi intizar-e-subh tha lo subh bhi hone lagi soz-e-dil se raushni hone lagi dil mein 'nazir' ishq ki duniya bhi duniya husn ki hone lagi