ye zamana kahin mujh se na chura le mujh ko koi is aalam-e-dahshat se bacha le mujh ko main isi khak se niklunga sharara ban kar log to kar gae mitti ke hawale mujh ko koi jugnu koi tara na ujala dega rah dikhlaenge ye panw ke chhaale mujh ko un charaghon mein nahin hun ki jo bujh jate hain jis ka ji chahe hawaon mein jala le mujh ko dard ki aanch badhegi to pighal jaunga apne aanchal mein koi aa ke chhupa le mujh ko is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain ab to chubhne lage aankhon mein ujale mujh ko tazkira mera kitabon mein rahega 'kaamil' bhul jaenge mere chahne wale mujh ko