inkishaf-e-zat ke aage dhuan hai aur bas ek tu hai ek main hun aasman hai aur bas aaina-khanon mein raqsinda rumuz-e-agahi os mein bhiga hua mera guman hai aur bas canwas par hai ye kis ka paikar-e-harf-o-sada ek numud-e-arzu jo be-nishan hai aur bas hairaton ki sab se pahli saf mein khud main bhi to hun jaane kyun har ek manzar be-zaban hai aur bas ajnabi lams-e-badan ki rengti hain chyuntiyan kuchh nahin hai saat-e-mauj-e-rawan hai aur bas