aasar-e-junun be-sar-o-saman nahin hote hum shahr-e-tahayyur mein pareshan nahin hote raste mein tilismat bichhi jati hain har dam hum khu-e-safar surat-e-hairan nahin hote mazi ki tanabon se lage dard ke kheme kya jaaniye kyun dida-e-imkan nahin hote khwabon ki haweli se rawan shor-e-musalsal aawaz-e-jaras ke liye zindan nahin hote hum zabt ki tarikh ke hain bab 'rashidi' hum zabt ki tarikh mein pinhan nahin hote