duba hua hun dard ki gahraiyon mein bhi main khanda-zan hun khokhli danaiyon mein bhi uryan hai sara shahr chali yun hawas ki lahar tujh ko chhupa raha hun main tanhaiyon mein bhi kaise the log jin ki zabanon mein nur tha ab to tamam jhut hai sachchaiyon mein bhi ab nek-namiyon mein bhi koi maza nahin pahle to ek lutf tha ruswaiyon mein bhi wo daud hai kisi ko kisi ki khabar nahin ab kitni ghairiyat hai shanasaiyon mein bhi rangin saaton mein kahan wo malahaten parchhaiyon ka jal hai ranaiyon mein bhi hum jin ke waste the tamasha bane hue dekha to wo nahin the tamashaiyon mein bhi main hi tha wo jo apne hi teshe se mar gaya hi hi tha shahr-e-jabr ke balwaion mein bhi kya daur hai ki jis mein sada bhi sukut hai tanhaiyan hain anjuman-araiyon mein bhi wo pyar do ki jis ki chamak mand hi na ho hota hai ye khulus to harjaiyon mein bhi saz o sada ke shor mein gum ho gaya 'jamil' kis kis ke dil ka dard tha shahnaiyon mein bhi