khamoshi ki girah khole sar-e-awaz tak aae ishaara koi to samjhe koi to raaz tak aae koi anjam kab se muntazir hai ek hazir ka koi rakht-e-safar bandhe koi aaghaz tak aae zamin-e-dil ye jam jaane se kuchh hasil nahin hoga ghubar-e-shauq se kah do zara parwaz tak aae koi mahfil badi khamosh hai yaadon se phir kah do rabab-e-jaan koi chhede koi dam-saz tak aae kisi ke nam kar dala tha khwabon ke jazire ko safine an-ginat warna nigah-e-naz tak aae