aasar zindagi ke numayan hue to hain mana dahan-e-zakhm hain khandan hue to hain tabiren dekh dekh ke hairan hue to hain kuchh khwab-saz aaj pareshan hue to hain ai dil chalo ki mil ke mudaraat-e-gham karen yaadon ke anjum aaj darakhshan hue to hain ab apni hasraton ko basaenge hum wahin kuchh shahr-e-arzu abhi viran hue to hain bajne lagengi saz pe zanjiren khud-bakhud diwane un ki zulf ke raqsan hue to hain baqi hai dil par aaj bhi qarz-e-nigah-e-yar daman hazar bar gareban hue to hain matam-kade mein saz-e-shikasta liye hue kuchh ahl-e-dard hain jo ghazal-khwan hue to hain