rangon ke is mahbas mein in lamhon ki zindani mein hum ne apni umr bitai hairani hairani mein yun to apna bahar sahil lagta hai khamoshi ka lekin apne andar ek samundar hai tughyani mein baadal se wo pyar tha hum ko ashkon se wo raghbat thi jo kuchh bhi tamir kiya buniyaad rakhi hai pani mein sae ki khwahish mein apne hath se kirnen chhut gain din ki nabz bhi dub gai hai raaton ki tulani mein bazaron mein titli apne pankh chalati phirti thi bachche ghar ka rasta bhule chhoti si nadani mein khushbu apni jaanib khinche lekin khauf se kanpe ruh socho koi sanp na ho poshida raat ki rani mein kaise apne shah-paron mein shamil hote git 'salim' sarf kiye the hum ne sare harf to nauha-khwani mein