aaseb ka wahshat ke aankhon pe ijara hai

aaseb ka wahshat ke aankhon pe ijara hai
tarik manazir hain jugnu hai na tara hai

kya rut hai koi panchhi shakhon pe nahin aata
sakit hain shajar sare be-rang nazara hai

jab shahr mein aaya hai mujh se bhi milega wo
is aas mein khud ko bhi ghar ko bhi sanwara hai

kuchh ashk udasi ke hamrah musafir hain
dariya mein taghaful ke chahat ka shikara hai

bharpur talluq ka dawa to nahin karte
kuchh hum bhi usi ke hain kuchh wo bhi hamara hai

din bhar ka thaka haara phir ghar ki taraf palta
khush-rang tamanna ne har sham pukara hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close