zahe zinda-dili gham ki gul-afshani nahin jati kuchh aise ashk bhi hain jin ki tabani nahin jati talatum-khez maujon ka talatum tham gaya lekin jo barpa hai kinaron par wo tughyani nahin jati mere rahbar mujhe ye kaun-si manzil pe le aae ki mujh se surat-e-manzil bhi pahchani nahin jati hazaron aashiyane phunk dale sehn-e-gulshan mein magar barq-e-sitam ki shoala-afshani nahin jati pilata hi raha saqi hamein tu zahr ke saghar tere rindon ki phir bhi rind-samani nahin jati na jaane kya hua 'arman' asar apni duaon ka duaen karte hain lekin pareshani nahin jati