aashiq-e-zulf-o-ruKH-e-dildar aankhen ho gain

aashiq-e-zulf-o-rukh-e-dildar aankhen ho gain
mubtala-e-kafir-o-dindar aankhen ho gain

surkh palken ho gain khun-bar aankhen ho gain
dekh lo ab zakhm-e-daman-dar aankhen ho gain

dekh kar mahw-e-jamal-e-yar aankhen ho gain
jam-ha-e-sharbat-e-didar aankhen ho gain

aaiyo ai ashk ab bahne laga hai khun-e-garam
bhejiyo pani ki aatish-bar aankhen ho gain

lad gain tum se jo aankhen ho gai ek bar sulh
kijiye do-tin baaten chaar aankhen ho gain

kashti-e-mai le ke ai saqi pahunch bahr-e-khuda
be tere mahfil mein dariya-bar aankhen ho gain

hai tasawwur bas-ki aankhon mein khat-e-rukhsar ka
aaine ki tarah jauhar-dar aankhen ho gain

ai but-e-kafir hai bas be-aib zat allah ki
lab tere isa hue bimar aankhen ho gain

bah gain palken ba-rang-e-khas meri ashkon ke sath
ab to nazron mein gul-e-be-khar aankhen ho gain

chashm-e-baddur in ko gardish hai ajab andaz se
ai pari aahu-e-khush-raftar aankhen ho gain

mere panw ki tarah haihat ab gardish mein hain
kis ki ye warafta-e-raftar aankhen ho gain

ain nadani hai ab un se jo rakhiye chashm-dasht
shakl-e-mizhgan phir gain bezar aankhen ho gain

lakht-e-dil yaqut mein aansu hain moti aab-dar
aao dekho jauhari bazar aankhen ho gain

do to hain chashm-e-sukhan-go gar nahin hai ek dahan
chup na rahiye qabil-e-guftar aankhen ho gain

ishq-e-pinhan dida-e-giryan ne zahir kar diya
hansne ki ja hai lab-e-izhaar aankhen ho gain

ablaq-e-chashm-e-sanam kis naz se gardish mein hai
khub kawe hote hain rahwar aankhen ho gain

har kisi ne aankh jab dali gulu-e-saf par
hans ke farmaya gale ka haar aankhen ho gain

tol lete hain sada nazron mein jins-e-husn ko
palla-e-mizan meri ai yar aankhen ho gain

hai tasawwur roz-o-shab kis ki tilai rang ka
chashm-e-nargis ki tarah zardar aankhen ho gain

kahte ho sab dekhte hain teri aankhon se mujhe
sach kaho aghyar ki bekar aankhen ho gain

chaliye ab sahra se ku-e-yar unhen dikhlaiye
aablon se panw mein do-chaar aankhen ho gain

phul nargis ke banae kab wahan meamar ne
ye hamari naqsh-bar-diwar aankhen ho gain

ai khuda shahid hamara summa-wajhullah hai
jab nigah ki but pe tujh se chaar aankhen ho gain

aap sa in ko banaya ishq-e-tir-e-yar ne
hai siri tar-e-nigah sufar aankhen ho gain

pesh-e-nargis hath phailae hain shakhon se darakht
kis ko dekhenge jo ab darkar aankhen ho gain

chup khade hain ban gae hain naqsh-bar-diwar hum
aao dekho rauzan-e-diwar aankhen ho gain

saqi-o-mina-o-saghar ek aate hain nazar
baada-e-wahdat se kya sarshaar aankhen ho gain

rote rote hijr mein suje hain ye chashman-e-tar
jism laghar ho gaya tayyar aankhen ho gain

aashiq-e-abru hun karna dida-o-danista qatl
jauharon se tujh mein ai talwar aankhen ho gain

aankh ke doron ne tere kuchh to hain dhage diye
ai sanam jo mail-e-zunnar aankhen ho gain

phir gaya wo aa ke ab jage to kya hasil 'wazir'
so gae jab bakht tab bedar aankhen ho gain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close