un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin pata nahin hun tab se main apni khabar kahin aa jae aise jine se apna to ji ba-tang jita rahega kab talak ai khizr mar kahin phirti rahi tadapti hi aalam mein ja-ba-ja dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin muddat talak jahan mein hanste phira kiye ji mein hai khub roiye ab baith kar kahin yun to nazar pade hain dil-afgar aur bhi dil rish koi aap sa dekha na par kahin zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu wale pachhtawe phir to aap hi aisa na kar kahin phirte to ho banae saj apni jidhar tidhar lag jawe dekhiyo na kasu ki nazar kahin puchha main dard se ki bata tu sahi mujhe ai khanuman-kharab hai tere bhi ghar kahin kahne laga makan-e-muayyan faqir ko lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin darwesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust tu ne suna nahin hai ye misra magar kahin