abr kya ghir ghir ke aaya khul gaya bas sabaat-e-bahr-e-duniya khul gaya raaz-e-dil kitna chhupaya khul gaya haal is daulat-sara ka khul gaya husn-e-ariz aarzi tha khul gaya khat ke aate hi lifafa khul gaya aankh se rumal sarka baad-e-marg chashm-e-tar ka aaj parda khul gaya tum jo bole ho gaya sabit dahan baaton hi baaton mein uqda khul gaya kat gaya sar hal hui mushkil meri nakhun-e-khanjar se uqda khul gaya be-zabani baaten sunwane lagi galiyon par munh tumhaara khul gaya tha qalam-band apni aazadi ka haal khat ko jab us ne lapeta khul gaya khat pe khat lae jo murgh-e-nama-bar bole in murghon ka darba khul gaya