aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte hum dil ki tarah chaak gareban nahin rakhte sar rakhte hain sar mein nahin sauda-e-mohabbat dil rakhte hain dil mein koi arman nahin rakhte nafrat hai kuchh aisi unhen aashufta-saron se apni bhi wo zulfon ko pareshan nahin rakhte rakhne ko to rakhte hain khabar sare jahan ki ek mere hi dil ki wo khabar han nahin rakhte ghar kar gain dil mein wo mohabbat ki nigahen un tiron ka zakhmi hun jo paikan nahin rakhte dil de koi tum ko to kis ummid par ab de tum dil to kisi ka bhi meri jaan nahin rakhte rahta hai nigahban mera un ka tasawwur wo mujh ko akela shab-e-hijran nahin rakhte dushman to bahut hazrat-e-naseh hain hamare han dost koi aap sa nadan nahin rakhte dil ho jo pareshan to dam bhar bhi na thahre kuchh bandh ke to gesu-e-pechan nahin rakhte go aur bhi aashiq hain zamane mein bahut se 'bekhud' ki tarah ishq ko pinhan nahin rakhte