ghalat-fahmi hai tum ko hum tumhaare to nahin hain hamari aankh mein aise ishaare to nahin hain hamare ho to phir aao hamara sath bhi do masail zindagi ke sab hamare to nahin hain udasi ko udasi kyun nahin taslim karte meri palkon pe aansu hain sitare to nahin hain main bahar khwab se aa bhi gai to kya karungi meri duniya mein kuchh achchhe nazare to nahin hain mahaz-arai jari hai abhi so lad rahe hain abhi hum lad rahe hain jang haare to nahin hain magar ye kaise aalam aa rahe hain yaad mujh ko ki aise roz-o-shab main ne guzare to nahin hain pari kahte ho mujh ko aur kabhi tum hur sahab hamare khal-o-khad kuchh itne pyare to nahin hain