hamara un ka talluq jo rasm-o-rah ka tha bas us mein sara saliqa mere nibah ka tha tujhe qarib se dekha to dil ne socha hai ki tera husn bhi ek zawiya nigah ka tha tujhe tarash ke dil mein saja liya main ne qusur is mein meri rifat-e-nigah ka tha chale the yun to kai log ku-e-jaanan ko zara sa hum se magar ikhtilaf rah ka tha teri jafa ka khuda silsila daraaz kare ki us se apna talluq bhi gah gah ka tha