aashiq ke liye hijr ka aazar kahan tak

aashiq ke liye hijr ka aazar kahan tak
dukh sahta rahe aap ka bimar kahan tak

aakhir ye sitam charkh-e-jafakar kahan tak
jhele maraz-e-hijr dil-e-zar kahan tak

ho jae lab-e-baam se ab jalwa-numai
baitha rahun aakhir pas-e-diwar kahan tak

dekhun jo kabhi aao su-e-gor-e-gariban
ji uthte hain murde dam-e-raftar kahan tak

aata nahin ab koi ayaadat ko bhi ai dil
bahlate bhala baith ke gham-khwar kahan tak

sajde hi ki khu dalun ki maqbul ho khidmat
baitha rahun dar par tere bekar kahan tak

karna na 'haqir' aabla-pai ki shikayat
dekho to rah-e-ishq hai dushwar kahan tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close