chhante KHak hain is rah se aane wale

chhante khak hain is rah se aane wale
ji se jate hain tere kuche se jaane wale

aaj wo isi-e-dauran hain jalane wale
hum tadap kar hain lahad se nikal aane wale

main bhi pyasa hun mujhe kyon nahin karte sairab
aap shamshir se o pyas bujhane wale

na hamein dair se matlab na haram se kuchh kaam
hum to hain kucha-e-dildar ke jaane wale

lo hue khud bhi giraftar-e-mohabbat naseh
aap hi bhule jo the rah batane wale

apni fariyaad se betab na kar ai bulbul
tere nale hain mere hosh udane wale

ro hi deta hun jo yaad aata hai landan mujh ko
kya hue ab wo hasin nachne gane wale

dekh ke lash 'haqir' aap ki bola wo shokh
aaj duniya se chale thokaren khane wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close