shauq karta hai safar bang-e-dara se pahle

shauq karta hai safar bang-e-dara se pahle
kan bajte hain mohabbat mein sada se pahle

shart itni hai ki takmil ho mahrumi ki
jalwa dikhlati hai tasir dua se pahle

ishq aur husn kisi ahd mein be-lag na the
mahwiyat shauq se shokhi thi haya se pahle

mukhtasar zindagi-e-ishq ki rudad ye hai
maut aati hai kai bar qaza se pahle

is bure haal mein bhi pas-e-mohabbat dekho
dil ne dam tod diya khun-e-wafa se pahle

zanu-e-dost pe rahat ye mili waqt-e-akhir
lag gai aankh muri khwab-e-fana se pahle

aaj hain fitna-e-dauran-o-qayamat aashob
wahi nazren jo na uthti thin haya se pahle

dastan husn-e-haqiqat ki thi rangin lekin
itni rangin na thi khun-e-shohada se pahle

is kami par hai wo aalam ki ilahi tauba
hae kya chiz the tum tark-e-wafa se pahle

abhi zeba nahin tujh ko gila-e-be-asari
khun-e-dil shart hai tasir-e-wafa se pahle

badle badle se hain kuchh husn ke tewar aise
sar-nigun ishq hai iqrar-e-khata se pahle

dil mein yun hai teri nikhri hui zulfon ka khayal
jaise matla pe dhundalka ho ghata se pahle

hae be-khwabi-e-yak-umr-e-wafa ka ye maal
so gaya main tere daman ki hawa se pahle

hai wo baalida-o-shadab chaman taba-e-'sarosh'
phul khilte hain jahan baad-e-saba se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close