aashiq ke mukh pe nain ke pani ko dekh tun

aashiq ke mukh pe nain ke pani ko dekh tun
is aarasi mein raaz-e-nihani kun dekh tun

sun be-qarar dil ki awal aah-e-shola-khez
tab is haraf mein dil ke maani kun dekh tun

khubi sun tujh huzur o shama dam-zani mein hai
us be-haya ki charb-zabani kun dekh tun

dariya pe ja ke mauj-e-rawan par nazar na kar
anjhuwan ki mere aa ke rawani kun dekh tun

tujh shauq ka jo dagh 'wali' ke jigar mein hai
be-taqati mein us ki nishani kun dekh tun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close