bahut be-kar mausam hai magar kuchh kaam karna hai ki taza zakhm milne tak purana zakhm bharna hai abhi sada waraq par nam tera likh ke baitha hun abhi is mein mahak aani hai titli ne utarna hai badhe jo habs to shakhen hila dena ki ab hum ko hawa ke sath jina hai hawa ke sath marna hai mabaada us ko diqqat ho nishane tak pahunchne mein so main ne phul se diwar ke rakhne ko bharna hai yahi ek shaghl rakhna hai aziyyat ke dinon mein bhi kisi ko bhul jaana hai kisi ko yaad karna hai koi chehra na ban paya muqaddar ki lakiron se so ab apni hatheli mein mujhe khud rang bharna hai koi rasta mile kyunkar mere pa-e-khajalat ko yahan to panw dharna bhi koi ilzam dharna hai wo har lamha dua dete hain lambi umr ki 'tabish' mujhe lagta hai pyaron ko bhi rukhsat main ne karna hai