aashiqi jurat-e-izhaar tak aae to sahi wo zara khauf-e-jahan dil se mitae to sahi kaise uthte hain qadam dekhiye manzil ki taraf dil ke irshad pe sar koi jhukae to sahi us ke qadmon mein rifaqat ke khazane honge meri jaanib wo qadam apne badhae to sahi jazba-e-josh-e-mohabbat tujhe sau bar salam meri aahat pe wo dahliz tak aae to sahi har ghazal meri qasida hi sahi tera magar tujh ko ashaar mein yun koi sajae to sahi dastan honge khud us ujde hue shahar ke gham is andhere mein koi shama jalae to sahi khud-bakhud rasta dega ye zamana 'talib' dosti ke liye wo hath badhae to sahi