aashna phir us sitam-ijad ka kyon kar hua

aashna phir us sitam-ijad ka kyon kar hua
ai dil-e-nadan tu gham mein mubtala kyunkar hua

kya adu se chal gai kuchh banda-parwar aap ki
mere ghar is waqt aana aap ka kyunkar hua

ho gaya kya roab-o-dab-e-husn un ka ai khuda
baat karne ka adu ko hausla kyunkar hua

sakhtiyan sahne se ho jata tahammul aap hi
phir mere aage bayan uzr-e-jafa kyunkar hua

jab na pamal-e-khiram-e-naz tha ai fitna-gar
phir hamara ab ke dil yun surma sa kyunkar hua

shokhiyan us shokh ki kya kar gain tujh mein asar
ai dil-e-nadan tu itna chulbula kyunkar hua

bul-hawas ki si wafadari to main ne ki na thi
phir tumhaara morid-e-jaur-o-jafa kyunkar hua

sar mera meri jabin is baat ki thi mustahiq
sajda-gah-e-khalq us ka naqsh-e-pa kyunkar hua

'lutf' se kis lutf se kahte hain sare aqraba
kushta-e-naz-e-butan mard-e-khuda kyunkar hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close