aashiqi mein 'mir' jaise khwab mat dekha karo bawle ho jaoge mahtab mat dekha karo jasta jasta padh liya karna mazamin-e-wafa par kitab-e-ishq ka har bab mat dekha karo is tamashe mein ulat jati hain aksar kashtiyan dubne walon ko zer-e-ab mat dekha karo mai-kade mein kya takalluf mai-kashi mein kya hijab bazm-e-saqi mein adab aadab mat dekha karo hum se durweshon ke ghar aao to yaron ki tarah har jagah khas-khana o barfab mat dekha karo mange-tange ki qabaen der tak rahti nahin yar logon ke laqab-alqab mat dekha karo tishnagi mein lab bhigo lena bhi kafi hai 'faraaz' jam mein sahba hai ya zahrab mat dekha karo