jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun shahr-e-shab-zad ki aankhon ka sahaara hua hun ai mere dard ke dariya ki rawani mujhe dekh main tere qurb se kat kat ke kinara hua hun zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun bujh gae jab mere sab khwab o charagh o mahtab shahr-e-zulmat ko main tab ja ke gawara hua hun samne phir mere apne hain so main jaanta hun jit bhi jaun to ye jang main haara hua hun zakhm ginta hun shab-e-hijr mein aur sochta hun main to apna bhi na tha kaise tumhaara hua hun main payambar hun na ho sakta hun phir bhi 'ahmad' aisa lagta hai sar-e-khak utara hua hun