bujhi hai aatish-e-rang-e-bahaar aahista aahista gire hain shola-e-gul se sharar aahista aahista wo ek qatra ki barg-e-dil pe shabnam sa larazta tha hua hai bahr-e-na-paida-kanar aahista aahista kabhi shor-e-qayamat gosh-e-inshan tak bhi pahunchega koi sayyara badlega madar aahista aahista uda hai rafta rafta rang taswir-e-mohabbat ka hui hai rasm-e-ulfat be-wiqar aahista aahista sarab-e-arzu mein phir koi manzar bhi chamkega uthegi dasht se mauj-e-ghubar aahista aahista bahut din tak salasil ki sada aai hai zindan se mila hai be-qararon ko qarar aahista aahista wo sab arbab-e-jazb-o-shauq jin par naz tha hum ko hue hain hosh-mandi ke shikar aahista aahista kabhi malhuz hum ko bhi sukhan mein rabt-e-mani tha hua hai zahr-e-gham aashufta-kar aahista aahista kahin yaro tumhein phir gahri yasiyyat na chhu jae raho rah-e-talab mein mahw-e-kar aahista aahista