aashiyan jal gaya, gulsitan lut gaya, hum qafas se nikal kar kidhar jaenge itne manus sayyaad se ho gae, ab rihai milegi to mar jaenge aur kuchh din ye dastur-e-mai-khana hai, tishna-kaami ke ye din guzar jaenge mere saqi ko nazren uthane to do, jitne khali hain sab jam bhar jaenge ai nasim-e-sahar tujh ko un ki qasam, un se ja kar na kahna mera haal-e-gham apne mitne ka gham to nahin hai magar, dar ye hai un ke gesu bikhar jaenge ashk-e-gham le ke aakhir kidhar jaen ham, aansuon ki yahan koi qimat nahin aap hi apna daman badha dijiye, warna moti zamin par bikhar jaenge kale kale wo gesu shikan-dar-shikan, wo tabassum ka aalam chaman-dar-chaman khinch li un ki taswir dil ne mire, ab wo daman bacha kar kidhar jaenge