sina hai ek yas ka sahra liye hue dil rang-e-gulsitan-e-tamanna liye hue hai aah dard-o-soz ki duniya liye hue tufan-e-ashk-e-khun hai girya liye hue ek kushta-e-firaq ki turbat pe nauhagar dagh-e-jigar mein sham-e-tamanna liye hue main ek taraf hun shakl-e-khizan paemal-e-yas ek samt wo bahaar ka jalwa liye hue jaana sambhal ke ai dil-e-betab bazm mein hai chashm-e-naz mahshar-e-gham-za liye hue sozan na ye chaman ho mere nur-e-ah se o gulshan-e-jamal ka jalwa liye hue majnun se to haqiqat-e-sahra-e-najd puchh hai zarra zarra jalwa-e-laila liye hue ishq-e-junun-nawaz raha bazm-e-naz mein ek iztirab-o-shauq ki duniya liye hue meri to har nigah hai waqf-e-ubudiyat wo har ada mein husn-e-kalisa liye hue marham se be-niyaz hai 'pinhan' ye zakhm-e-dil kya kya fusun hai chashm-e-dil-ara liye hue