aashna dil ko jalane aae tere qissa hi sunane aae dil hi dil mein hai pasheman dono kaun ab kis ko manane aae kuchh to milne ki ho surat paida tark-e-talluq ke bahane aae ek tamanna hai ki ab main ruthun aur wo mujh ko manane aae meri nindon mein wo shamil ho kar mujh ko mujh se hi churane aae phir faza us ke badan si mahki phir bahaaron ke zamane aae