dil apna yaad-e-yar se begana to nahin goya ki khali mai se ye paimana to nahin manta hai meri baat to nazren mila ke sun ye mera haal-e-zar hai afsana to nahin hanste ho mil ke duniya se kya mere haal par main aap ka diwana hun diwana to nahin ai shama tujh ko jalna hai ab us ki aag mein ek shoala tujh se lipta hai parwana to nahin danista mujh se jata hai ghairon ke samne warna wo mere haal se begana to nahin ai barq tujh ko dhoka hua mujh ko dekh kar zalim qafas hai ye mera kashana to nahin taskin-e-khulq-e-saqi ko pita hun main sharab meri nazar mein saqi hai paimana to nahin pas-e-adab hai kya uthe aankh is ke ru-ba-ru is mein sawal-e-jurat-e-rindana to nahin jhukte hain us ko har jagah maujud pa ke 'soz' dil mein hamare kaba-o-but-khana to nahin