bazm mein wo baithta hai jab bhi aage samne main laraz uthta hun us ki har ada ke samne tujh ko har dam mangta hun jagta hun raat bhar aur kaise hath phailaun khuda ke samne munharif hota gaya har shakhs apni rah se koi thahra hi nahin us ki sada ke samne mujh pe hi ilzam rakh kar har taraf ruswa kiya koi chaara hi nahin tha be-wafa ke samne tez aandhi thi uda kar le gai mujh ko kahan ek tinka tha kahan rukta hawa ke samne