aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya

aashna kitna zaban ko be-zabani se kiya
zindagi karne ko kya kuchh zindagani se kiya

mausam-e-gul mein kiya malbus banne ka amal
be-libasi ka amal barg-e-khizani se kiya

kaun hai wo jis ne banjar khushk khitton ka ilaj
dekhte hi dekhte ek sada pani se kiya

subh ke jage masafat se thake dariya ne phir
sham hote hi talluq kam rawani se kiya

ye wahi tha kaise pahchana use muddat ke baad
main ye pal bhar mein usi ki ek nishani se kiya

rog thi 'shahin' zamin ki tangi-e-paiham mujhe
ye mudawa main ne bas naql-e-makani se kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close